Thursday 3 November 2011

Yun hi anjaane mein tujhse rafaqat si ho gayi.. Dosti karne chale aur tujhse chahat si ho gayi.. Tu na ho to main khud se hi ulajhti hoon.. Kya karoon mujhe teri aadat si ho gayi.. Main apne wajood mein tujhe talash karti hoon.. Mujhe tum se is qadar mohabbat si ho gayi.. Mere pass aao to jee loon do pal main bhi.. Meri to har ek saans teri amanat si ho gayi.. Main sochti thi tere aage zindagi kya hai.. Par tujhe chahney ke liye zindagi zaroori si ho gayi.. ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!~!~!~!~!~!~!

Khwaab tute hue, dil dukhaate rahe, Der tak woh hume yaad aate rahe, Kaat lee aansuon mein judaai ki raat, Sher kehte rahe, gane gungunaate rahe… Tere jalwe paraaye hue magar gum nahi, Ye tassalli bhi apne liye kam nahi, Humne tumse kiya tha jo wafa ka vaada, Saans jab taq chali, hum nibhaate rahe… Kisko mujrim kahein ab karein kya gilaa, Rishta tuta, na unki na meri thi razaa, Apni kismat mein kabhi woh thi hi nahi, Khwaab palkon pe jiske sajaate rahe...

Kuchh to duniya ki inayaat ne dil tod diya Kuch teri mohabbat ne dil tod diya Hum to samjhe the ke barsat me barsegi sharaab Aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya Dil to rota rahe aur aankh se aansu na bahe Ishq ki aisi haqeekat ne dil tod diya Wo mere hain mujhe mil hi jayenge Aise bekaar khyalat ne dil tod diya Aapko pyaar hai mujhse ki nahi he Jaane kyu aise savaalat ne dil tod diya

Ae dost teri yaad bahaut aati hai Tanhai mein mujhe bahaut sataati hai. Kis se kahoon apne dil ki baat main Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai. Ye baarish ki boondein,ye matti ki khushbu Mujhe tanha dekh kar mera mazaak uraati hein. Mujhe tum se hai mohabbat itni Tanhai mein tumhari awaaz aati hai. Deta hai sadaa koi mujhe door se Lagta hai mujhe meri dost bulati hai.