Wednesday 28 December 2011

Bitati zindagi

Ek ek kar ke raat aise hi beetati jati hai
nahi mil pa raha rasta yahan se nikal jaane ka
aur zindgi aise hi pareshaniyon meinbeetai jati hai
sote samay hoti hai fikar din ke kamki
Aur din ki roshni raat ke khayal meinbeet jati hai
nahi rehta hai khayal bhi ab apne aap ka
aur duniya fir bhi hamein hi matlabi keh jati hai
sab kuch seh jaate hain duniya ki mehfilon mein
aur akele mein tanhai dil mein ghar kar jati hai
har naye din ka hota tha hamein intezaar
ab toh har nayee subah naya dukh de jati hai
Bahut pyar karte the hum hamari neend se
Par ab toh woh bhi annkho se door chali jati hai
lafjo ka jo mohtaj na ho aisa rishta chate hain
par kismat is khawish ko sun kar khamosh ho jati hai

Tuesday 27 December 2011

Rab se bhi jyada pyar

'"Log kehte h ki Rab jise pyar krta h,use apne paas bula leta h"Or Aap abi tk Dharti pr hi ho,
.. iska matlab hai,

Apko Yaha koi Rab se b Jyada Pyar krta hai

Dil se pyar

Mana K Hum Bahut Ladte Hain, Magar Pyar B Bahut Krte Hain… Humare Gusse Ki Wajah Se Naraj Na Ho Jana, Hum Gussa Upar Se Or Pyar Dilse Karte Hain…

Friday 16 December 2011

Angrej-Gandhi k dono kaan kaat do, Gandhi-Nhi main andha ho jaunga, Angrej-Bewkuf kaan katne se andha kaise hoga, Gandhi:CHASMA kya tere baap k kan pe lagaunga


बडी मुददत से चाहा है आपको बडी दुआओ से पाया हे आपको भुलाने की सोचु भी कैसे किस्मत की लकीर से चुराया है आपको


बिन सावन बरसात नही होती सुरज डुबे बिना रात नही होती क्या करेअब कुछ ऐसी हालत है कि आपकी याद आए बिना दिन कि शुरुआत नही होती


Two sardar brothers were in the same class. Teacher: why did you write ur father's name different? Boys: madam ji tussi phir kahoge nakal mar li


Aaj Bhi Unki Nazro Me Raaj Wahi Tha. Chehre Ka Libas Wahi Tha, Kaise Hum Usko Bewafa Keh De Dosto, Aaj Bhi Uske Dekhne Ka Andaz Wahi Tha


Thursday 3 November 2011

Yun hi anjaane mein tujhse rafaqat si ho gayi.. Dosti karne chale aur tujhse chahat si ho gayi.. Tu na ho to main khud se hi ulajhti hoon.. Kya karoon mujhe teri aadat si ho gayi.. Main apne wajood mein tujhe talash karti hoon.. Mujhe tum se is qadar mohabbat si ho gayi.. Mere pass aao to jee loon do pal main bhi.. Meri to har ek saans teri amanat si ho gayi.. Main sochti thi tere aage zindagi kya hai.. Par tujhe chahney ke liye zindagi zaroori si ho gayi.. ~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~!~! ~!~!~!~!~!~!~!

Khwaab tute hue, dil dukhaate rahe, Der tak woh hume yaad aate rahe, Kaat lee aansuon mein judaai ki raat, Sher kehte rahe, gane gungunaate rahe… Tere jalwe paraaye hue magar gum nahi, Ye tassalli bhi apne liye kam nahi, Humne tumse kiya tha jo wafa ka vaada, Saans jab taq chali, hum nibhaate rahe… Kisko mujrim kahein ab karein kya gilaa, Rishta tuta, na unki na meri thi razaa, Apni kismat mein kabhi woh thi hi nahi, Khwaab palkon pe jiske sajaate rahe...

Kuchh to duniya ki inayaat ne dil tod diya Kuch teri mohabbat ne dil tod diya Hum to samjhe the ke barsat me barsegi sharaab Aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya Dil to rota rahe aur aankh se aansu na bahe Ishq ki aisi haqeekat ne dil tod diya Wo mere hain mujhe mil hi jayenge Aise bekaar khyalat ne dil tod diya Aapko pyaar hai mujhse ki nahi he Jaane kyu aise savaalat ne dil tod diya

Ae dost teri yaad bahaut aati hai Tanhai mein mujhe bahaut sataati hai. Kis se kahoon apne dil ki baat main Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai. Ye baarish ki boondein,ye matti ki khushbu Mujhe tanha dekh kar mera mazaak uraati hein. Mujhe tum se hai mohabbat itni Tanhai mein tumhari awaaz aati hai. Deta hai sadaa koi mujhe door se Lagta hai mujhe meri dost bulati hai.

Tuesday 25 October 2011

Har dhadkan mein ek raaz hota hai, Har baat ko batane ka ek andaz hota hai, Jab tak thokar na lage bewafai ki, Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai. - Jeete hi tera naam lekar, marney ke baad kya anjaam hoga, Kafan Utha ke dekh lena, O bewafa hoothon pe tera naam hoga. Har baat zuban keh pati jo agar, Aankhon ke ishaare kyon hote??? Gar samajhte hamare ishaare tum, Palkon pe yeh aasoon kyon hote?? Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain, Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain, Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain, Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain. itna bhi na rutho jana, ke ye mera dil tut jaye,itna bhi na rutho,ki ye mehfil ruth jaye, hum itne bedard nahi ki apko dard deke , mera dil chup rehjaye Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe, Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye. Daav par hote hain dil o jaan yahaan, Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye. Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si.. Rukte kadam phir aage baR gaye. Na jeet hui, na haari baazi humne.. Kabhi khudse, kabhi kismat se laR gaye. Kismat se apni sabko shikayat kyo hai? Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai? Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein, Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai? Jab bhi tujhse milne ki tadbeer nazar aayi, mujhe apne pairo me padi zanjeer nazar aayi, teri yaad me nikal pade mere aansoo, aur har aansoo me teri tasveer nazar aayi. Mohabbt mujhe thi usi se..Sanam. Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha .. Maut bhi meri Chahat ko rok na saki.. Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha. (From: Vivek Manchanda - Lucknow) khuda kare tere jivan main koi gum naa ho teri ankhen kabhi ansuo se nam naa ho tujhe mile jeevan ki har khusi chahe un khusiyo main samil hum naa ho Suraj se kaho chamakana chod de, sitaro se kaho timtimana chode do, Tum milne nahi aasakte ho to, apni yado se kaho ki yun satana chod de Zamane gujar gaye hathon ko milaye hue, muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, din raat nikal gaye yaadon mein khoye hue, aap kab saamne aaoge yaar muskurate hue dost hai to aansuon ki bhi shaan hoti hai, dost na ho to mehfil bhi samshan hoti hai, sara khel to dosti ka hi hai, warna janaza or barat ek saman hoti hai. Dil todna hamari aadat nahi, Dil hum kisi ka dhkhate nahi, Bharosa rakhna hamari dosti pe, Dost banakar hum kisi ko bhulate nahi.... Haale dil yaar ko likhu kaise, Haat dil se juda nahi hota, Ek muddat se tujhe yaad tak nahi aayi meri aur hum tujhe bhul jaye ye bhi to nahi hota.... Bina aapke ankhon mein nami rahti hai, Hame hamesha aapki kami rahti hai, Dil se aati hai bas ek hi awaj jane kab honge aap hamare pass...... Agar me mar bhi jaoo e dost,tum gum bhi na karna,asoon bhi na bahana,arthi bhi na uthana,bus Seedhe uper chale ana.. PARTY KARENGE - Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye, Mahobbat aap de, toe ush dil ke, thoda karib hum aaye, Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye, Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan, kanhi tham na jaye... Logo ne dharati dekhi, amber dekha, Mausam dekhe aur jivan bhi dekh liya; Humari yeh najre aur kya dekhe, Jisne aapka yeh hasin chehra dekh liya......................... Jabh jindagi sajati hei toe, dulhan si lagati hei, Jabh yeh rang badalti hei toe, ek bewa si lagati hei, Yeh be-raham toe kisi se bhi, vafa nahi karti hei, Phir bhi sabhko yeah, mehbooba si lagti hei... Sheeshe ke dil mei thi tasveer teri bassi, sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki.. Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar, jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti... Jabh aankh mein nami si hoti hei, Dil mein kisiki kami si hoti hei, Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye, Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...! Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon Is kadar hum unki mohabbat mei kho gaye, ki ek najar dekha, aur bus unhi ke hum ho gaye, Aankh khuli to andhera tha, dekha ek sapna tha, Aankh bandh ki aur, unhi sapno mei phir so gaye... Jabh aashman ke sitare, humko dekhte hei, Hum kuch anjani soch mei pad jate hei, Har lamha hum aisa mehsoos karte hei, Ki voh kuch kehte hi, chup ho jate hei.. Mohabbat ko mahobbat ki tarah paa na sake Mohabbat ko ibaadat keh Khudda tujhe maan liya Dil sei dil toe kabhi mill na sakei Tere kadmo mein dil ko kurbaan kar diya Eei Khudda bahot badda hei jahan tera Ish jahan mein he koi nahi bhi mera Kehne ko toe tunei bahot kuch diya Aur kahe toe kuch bhi nahi hei mera! agar terna hai to pani mein aao, kinaron pe kya rakha hai pyar karna hai to bahon mein aao, isharon mein kya rakha hai. zindagi to bewafa hai, ek din thukrayegi, maut hi ek sacchi mehbooba hai , ek din zaroor ayegi dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata, humse tuta hua sisa dekha nahi jata, apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe, aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata Kya kahu tujhe, khwab kahu tou toot jayega, dil kahu tou bikhar jayega aa tera naam zindagi rakh doon maut se pehle tera saath tou na choot payega..!! Din Tere Khayaal Mein Guzar Jaata Hai Raat Ko Bhi Tera Hi Khayaal Aata Hai Kabhi Kabhi Ye Khayaal Is Kadar Badh Jaata Hai Ki Aaine Mein Bhi Tere Chehara Nazar Aata Hai Uski Ankhon Ki Deewani Hoon, Uski Muskaan Ki Mein Shamma Hoon, Har Pal Mujhko Itna Satata Hai, Phir Bhi Dil Aur Jaan Se Mein Uski Ashqi Hoon Lab Pe Hi Rukti Hai Baat Aate Aate Neend To Nahi Aati Sapnay Bohat Hain Aate Hum To Hain Phase Ik Haseen Uljhaan Mein Kaash Woh Aakar Iseh Suljhaate::::::::::: Manzilein bhi us ki thi Rasta bhi us ka tha Ek main akela tha Kafila bhi us ka tha Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai Log to us ke the kia khuda bhi us ka tha Hume tumse Love hai please refuse na karna.. Ye zero watt ka hope bulb hai please ise fuse na karna!!! Chand Se Pyari Chandini, Chandini Se Pyari Raat, Raat Se Pyari Zindagee, Zindagee Se Pyare Aap........ pal pal jeete the jis pal ke liye, aaj wo pal bhi mila to ek pal ke liye, kyun na jiye is pal ko har pal ke liye ham tumhare liye tum hamare liye Aapko Lagta Hai Ke Hume Aapko Bhula Rakha Hai Aap Nahi Jaante Dil Mein Kahi Chupa Rakha Hai Dekh Na Le In Aankhon Me Aapko Koi Isliye Palko Ko Bhi Chupa Rakha Hai:::: Tute hue pemane mein jaam nahi aata dil ke mareej ko aaram nahi aata ay haseeno dil todne se pehle sou baar socho kyonki toota hua dil kisi ke kaam nahi aata Suni zindagi mein halchal si mehsoos hui, bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui, Jane aaj kyu aisa laga, shayad aapki kami mehsoos hui Nazar jhuki to paimane bane, Dil toote to maikhane bane, kuch na kuch to zaroor hai aap mein, yunhi nahi hum aapke dewaane bane!!! Sapno se dil lagane ki adat nahi rahi, har waqt muskurane ki adat nahi rahi. Yeh sochke ki koi manane nehi ayegi, ab humse ruth jane ki adat nahi rahi. Yar ne dil ka haal batana chod diya, Humne bhi gehrai mein jaana chod diya, Jab usko hi doori ka ehsaas nahi, Humne bhi ehsaas dilaana chod diya. Log kehte hai hume adat hai muskurane ki, par wo kya jane ke yeh bhi ek adat hai Gham chupane ki!!! Mast Hariyali, Dubte Suraj ki lali, kuch maja nahi ata, jab pas me na ho tum... Chandi raat me barsat buri lagti hai, ghar me ho lash to Barat buri lagti hai, Khushi me mere dost kuch bhi kah dal, gam me to har bat buri lagti hai. Dard Kaafi hai bekhudi K liye, Maut Zaruri hai Zindagi K liye, Kaun marta hai Kisi K Liye, Hum to Zinda hai sirf aap ki Dosti K liye... Suna he pyar karne wale ajib hote hai, khushi ke badle gam nasib hote hai, mere dost mohabbat naa karna kabhi, kyun ke pyaar karne wale bade badnaseeb hote hai... Pyaar karne walo ki kismat buri hoti hai, har mulakat judai ki ghadi hoti hai, waqt mile to rishte ki kitab padh lena, DOSTI har rishtey se badi hoti hai.. Hichikyon se ek baat ka ehsaas hota hai ki Shayaad koi hume yaad karta hai, milne na aaye to kya hum per kuch lamhe to barbad to karta hai... Har Kadam saath hai, Tu hi mera parichay hai, Tu saans banke mare dhadkan mae rehta hai, Tu dard ban ke mare aansuon mae behta hai. zameen badle, zamana badle, zamane ki hawa badle, Gar main tum se badloon to mujhse mera khuda badle kisine dil ko es kadar chu liya hai,ki hum kisi aur ko chu na sakey,hum to chaley thay dost banane par aap dhadkan ban gaye. chand ko garoor hain, kyonki chandni oska noor hain, hum kis par garoor kare, hamara to chand hee bhout door hain. Woh Dil Hi Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare, Tujhe Bhoolkar Jiyuun Khuda Na Kare, Rahaingi Teri Yaadain Meri Zindagi Bankar, Yeh Aur Baat Hai Ki Zindagi Wafa Na Kare..!! Woh Dil Hi Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare, Tujhe Bhoolkar Jiyuun Khuda Na Kare, Rahaingi Teri Yaadain Meri Zindagi Bankar, Yeh Aur Baat Hai Ki Zindagi Wafa Na Kare..!! nigahe aapki pehchan hain hamari,muskurarat aapki shaan hai hamari,rakhna hifazat se kyunki saasay aapki jaan hai hamari. marne ke baad bhi sata raha hai koi..merikabar se mitti hata raha hai koi.. Aye khuda do pal ki zindagi aur de de..meri kabbar se udaas ja raha hai koi. Aankhon ki zuban woh samajh nahi paate,Honth magar kuch keh nahi paate,Apni bebsi kis tarah kahe,Koi hai jiske bina hum rah nahi paate......... A kash Shayeri hum bhi likh paate,Lafzon ke khel hum bhi khel paate.Khuda ne dil par chot kuch aisi di,Aansuon ko chupaake Kash Hum bhi Muskara Paate............. Yeh mat sochna ki bhul jayenge tumhey,dur rehkar bhi chahenge tumhey.Agar dost banker raas na aye to ajnabi bankar bhi yaad ayenge tumhey...... Raate Gumnam Hoti Hai......... Din Kisike Naam hota hai Hum Jindgi kuch is Tarah Jite hai.....ki hAr LaMhA Sirf DosTO Ke hIIII nAAAAm HotA HaI Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..... - Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Kismat se apni sabko shikayat kyo hai? Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai? Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein, Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai Kafan na dalo mere chehre pe,Mujhe aadat hai muskarane ki, Na dafnao meri laash ko mujhe abhi umeed hai us ke aane ki. Mohabbt mujhe thi usi se..Sanam. Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha .. Maut bhi meri Chahat ko rok na saki.. Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha. tere hothon se lag kar yeh hawa sharab ban gayi aankhon se lag kar yeh hijaab ban gayi aur gaalon se lag kar yeh gulab ban gayi. sach hi kahti hai yeh duniya jaaneman ki mujh se mil kar tu laajawaab ho gayi Jaam Tootne ka bahana na kar ,Hum to teri aankho se pi lenge. Tu mat aa lekin aane ka wada to kar ,Hum tere intezar me hi jee lenge Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko bequarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm ghera kabhi kabhi, har phool par yu aetbaar na kijiye.. Tumhari is ada ka kya jawad du, apne dost ko kya uphar du, koi accha sa phool hota to mali se mangvata, jo khud gulab hai usko kya gulab du... Zamane gujar gaye hathon ko milaye hue, muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, din raat nikal gaye yaadon mein khoye hue, aab kab samne aaoge yaar muskurate hue Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete. Dosti se badi koi Jagir nahi hoti, isse acchi koi tasvir nahi hoti. Ek najuk pyar ka dhaga hai, fir bhi isse pakki koi janjeer nahi hoti. phoolon se hasna, jhoolon m jhoolna, doosra dost mile to hume mat bhoolna. Dost ek afsana hai: bhool gaya to sapna hai, aur yaad kiya to apna hai. Jaan hai mujki Jindagi se pyari, jaan ke liye kar du kurban yari, Jan ke liye tod du dosti tumhari, aab tumse kya chupana... Tum hi to ho na jaan hamari... Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya, Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya, Hum Hosh me aane hi waale the, ki Aapne fir se muskura diya. Tanhai Mein Faryad To Kar Sakte Hai, Virane Ko Abaad To Kar Sakte Hai, Kya Hua Aapse Mil Nahi Sakte, Par Aapko Yaad To Kar Sakte Hai. Bina dard ke ansu bahaye nahi jate, Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate, E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye DIL paye bhi nahi jate. Jahan Bhi Rahain ek Hi Baat Hai...Tum Pass Nahin ek Hi Baat Hai..Kabhi Bin Tumhare Roya Karte The..Ab Tum Dhoor Ho ek Hi Baat Hai Main Kaheen Gum Hoon Tum Kaheen Gum Ho Phir Bhi Eysa Lagta Hai Har Jaga Main Hoon Har Jaga Tum Ho... Badi Muddat se chaha hai tujhe, bad Duaon se paya hai tujhe, tujhe bhulane ki socho bhi to kaise, Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe! Har kadam pe imtihan leti hai zindagi, har waqt naye sadme deti hai zindagi, hum zindagi se shikwa kaise kare, aap sa dost bhi to deti hai zindagi! Ae Khuda aapne Chand Pe Etna Guru na Kar, Ek Chand sa Dost hum bhi rakhte hai, Jab Tarif hoti hai Tere Chand ki, Log Misal mere Dost ki Dete hai! Dil me kuch bacha nahi dard ke siwa, aankho me aata nahi koiaansu ke siva, dost tu matsaath chodna mera, zindagi me kuch bacha nahi teri dosti ke siwa. Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai Main Tanha Gunahgar To Nahi Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah Mast Nazron se dekh lenaa tha Agar tamanna thi aazmane ki Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki Chehrey Per Banawat Ka Gussa, Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai, Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai. Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Monday 24 October 2011

Romantic Shayari in Hindi Phele to usne sharab aakho se pila di, Nazare milai humne to fir usne jhuka di. Aai Milan ki ghadi phool khilne ki ghadi, Iskq ke chakkar me baccho ki fikr kisko padi. Dekhi na suni is kadar betabi kisi bhai me, Nazar aati hai to bas aati hai aashiyaani me. Vo nahi jab ghar per tumko kaise tharaugi, Raat rukege dil ke devta ruthe to kaise manaugi. Betaab hoon kai din se machal raha hai dil, De waqt is dildar ko aakar gale se mil. Chhat per khadi hokar ke zulfe sawarna, Accha nahi hai har kisi ka dil bigadana. Mohbbat khul ke kar ghabaraya nahi karte, Baho ke bandan me aake sharmaye nahi karte. Barsat ki raat ho aur aakho me khumari ho, Gungrale balo wali baho me humari ho. Baat karne ka kabhi mauka to dijiye, Samne milte hai magar ruka to kijiye. Dil me tumhe pane ki hasrat lagae beithe hai, Us dil ke intazaar me palke bichai beithe hai. Saturday Sunday ko tum khili si lagti ho, Koun kahe baccho ki maa ho abhi kuwari lagti ho. Lo aa gayi mein mehdi rachake dono haath, Ji chahe jaha le chal chalugi tere saath. Aadao me bijaliya nazar me suroor hai, Bahak gaya dil mera to kya kasoor hai. Khuda ne tumko hasi itna banaya na hota, Kasam khuda ki mera dil tum per aaya na hota. Kudrat ne kya khub diya hai tumko roop, Tere roop kea age fika lagta sab sansaar. Jaane anjaane me mene maang tumhari bhar di hai, Jeevan ki har sham meine naam tumhare kar di hai. Intazaar jab apni hadh se gujar jata hai, Kajal aakho ka bahkar bahar aata hai.

Love and Romantic Shayaris in Hindi Mein tere didaar ka talabgaar hoon, Gujri hui baharo ka yaadgaar hoon. Phele 100 baar idar udar dekha, Jab tujhe dark e ek nazar dekha. Pesh kar chand sher tumko dur se karta salam, Pad lena is guldaste me mere dil ke sabhi pegaam. Asar kya hai mohbaat ka kaho to mein dekha du, Na aata ho iskq karna to mein tumko sikha du. Unhe shak hai ki hum unpe marte hai, Hame shak hai ki wo hum pe marte hai, Zindagi ke dor yuhi gujarte hai, Na wo kuch puchte hai, na hum kuch kehte hai….!! Muskurake mila karo humse, Kuch kaha kuch suna karo humse, Baat karne se hi baat badti hai janaab, Isliye roj baat kiya karo humse….!! Tumhari yaado ki mehak in hawao me hai, Pyar hi pyar bikhara in fizao me hai, Aisa na ho ki duriya dard ban jaye, Ab to aa jao ki intezar nigaho me hai….!! Hame apne dil me basaye rakhna, Hamari yaado ke chirag jalaye rakhna, Bahut lamba hai safar zindagi ka, Ek hissa hame bhi banaye rakhna…! Aankho ke ishare samajh nahi pate, Hotho se dil ki baat keh nahi paate, Apni bebasi hum kis tarah kahe, Koi he jiske bina hum reh nahi paate…!! Wo meri muskurahat par nisar ho gaye, Hum bhi to unke liye bekarar ho gaye, Humne to kar liya pyaar unse, Who kisi aur ka pyar ho gaye…!! Chand taro ka noor aap par bares, Har koi aap ki chahat ko tarse, Aap ki zindagi me aaye itni khushiya, Ki aap gum pane ko tarse…!

1. Romance, Love and Pyar Har pal me pyar hai, har lamhe me khushi hai, Kho do to yade, jee lo to zindagi !2. Duriyo kin a parvah kijiye, Jab dil pukare bula lijiye, Hum jyada dur nahi aap se, Bus apni aankho ko palko se mila lijiye!3. Hoti nahi mohabbat surat se, Mohabbat to dil se hoti hai, Surat unki khud hi pyari lagti hai, Kadr jinki dil me hoti hai ! 4.Hum tere pyar me ye yaar waha tak pahuche, Jaha ye bhool gaye hum, ki kaha tak pahuche 5.! Teri muskan hamari kamjori, Keh na pana hamari majboori, Tum kyu nahi samajhte hamari khamoshi ko, Kya khamoshi ko juba dena jaruri hai ?6. Tumhari is ada ka kya jawab du, Ankho ko tumhari kya hasai khwab du, Koi accha sa phool hota to mali se magwata, Jo khud gulab hai, use kya gulab du !7 Koi he jo duaa karata he, apno me hame bhi gina karta he, bahut khushnasib samajhte he khud ko hum, jab door rehkar bhi koi hame yaad kiya karta he 8.Ye khuda aaj nazaro ko kuch aisa dikha de, Jaha dekhu bas vahi dikhai de, Kash aisi meharbaniya ho jaye aaj hawa me, Ki usko pukaru aur sirf usko sunaide…!!9. mohabbat kisi se is tarah nibha lo. Ki uske dil ke sare gum chura lo.Itna asar chhod do kisi pe chhahat ka, Ki upparwala bhi aakar bole mujhe apna bana Lo.10. Rulana Har Kisi Ko Aata Hai, Hasana Kisi Kisi Ko Aata Hai, Rula Ke Jo Manale Wo Sachcha Yaar Hai, Aur Jo Rula Ke Khud Bhi Aansu Bahaye Wo Aapka Pyaar Hai.

1.Ek Lamha Jo Satata Hai, Na Jane Ye DiL Kya Chahta Hai, Kash Aap Hote Humare Nazaron Ke Samne, Par Na Jane Kyu Ye Kash! Kash Hi Reh Jata... 2.Zindagi aapko kabhi hasaati hogi, kabhi @ rulati hogi, yaad kar ta hai har pal koi aa pko is raftaar bhri@ zindagi me ek hichki to roz aati hogi,3. Tham lena mera hath, kabhi piche jo chhut jau. Mana lena mujhe jo tumse kabi ruth jau, Mana mai nasamjh hu, par wo tara hu jo aapki har arzu k liye tut jau.4. Aansu tumhare ho aankhe meri ho, Dil tumhara ho dhadkan meri ho, Khuda kare hum dono ka pyar aisa hi ho…!!5. Tanhai me muskurana ishq hai, Ek baat ko sab se chuppana ishq hai, U to need nahi aati hai raat ko, U to need se jaag jana ishq hai…..!!6. Yaad Hum Bhi Aapko Karte Hai, Yaad Aap Bhi Hame Karte Hai, Fark Itna Hai Hum Yaad Ane Par Sms Karte Hai Aur Aap Sms Ane Par Yaad Karte Hai...

Kuch Rishte Anjane Me Ban Jate He Pehle Dil Se Fir Zindgi Se Jud Jate He Kehte Hai Us Daur Ko Dosti Jisme Anjane Na Jane Kab Apne Ban Jate hai. Hum apne aap per gurur nahi karte, kisi ko kuch bhi karne per majboor nahi karte, magar jisne ek bar apna kah diya hame, marte dum tk use dil se door nhI krte.Gn Romantic Hindi Shayari Chale aao hum AAPKO Yaad karte H, ye wo gunah h JO hum bar-bar karte He, jala k DIL ME hasrato k Chirag App ka, or aapke msg ka intezar krte hai. Romantic Hindi Shayari Khuda jaane ye husn waale chashma kyon lagate hain, Inhone kiya hai kya aisa jo ye aankhe churate hain. Aankho main bhar loge to kante se chubhenge, Ye ashk to palkon per sajane ke liye hain. Agar ho waqt to ek mulakat kijiyega, Dil kuch kahena chahe to kuch bbat kijiyega, Yu to muskil he fursat nikalna, Par 1 lamha miljaye to hame yaad kijiyega…!! Sath chutne se rishte nahi tuta karte, Waqt ki dundh se lamhe nahi tuta karte, Log kehte hai mera sapna tut gaya, Tutati need hai sapne nahi tuta karte…!! Dard hota nahi duniya ko batane ke liye, Har koi rota nahi ansu bahane ke liye, Ruthne ka maja to tab hai, Jab koi apna ho manane ke liye…..!!!! Aap par kurban meri yaari hai, Haskar mar jau iski bhi taiyari hai, Ye silsila na khatam ho apni yari ka, Kyu ki maine aap ko yaad kiya hai, Ab aap ki bari hai,,,!! Sabse accha mera yaar hai, Uski har shayri me kitna pyar hai, Agar na aaye uska sms ek bhi din, To uska mobile rakhna hi bekaar hai….! Yaar tum bhi ajeeb ho, Mere dil ke kitne kareeb ho, Na milte ho, na sms karte ho, Kya tum mujhse bhi jyada garib ho..!! Muskaan aap ke phone se milti hai, Dilo ko rahat aapke miss call se milti hai, Ye silsila bandh mat hone dena, Kyu ki ye dhadkan aapke sms se chalti hai.! Kashti behti hai kinare ki talash me, Log milte hai pyaar ki aas me, Hum roz milte nahi aapse , Magar kuch waqt jarur bitate hai, Aap ki yaad me

Friday 21 October 2011

Bahut"UdaS He Koi Shaks Tere Jane Se Ho Sake"To Laut Aa Kisi BahaneSe Tu Lakh"Khafa Sahi Magar 1Bar To Dekh Koi Tut"Gaya He Tere Ruth Jane se

Eak ladki ko apni b.day gift par anguthi chaiye thi, lakin uske B.F Ne usko anguthi ke badle mei eak teddy bear gift kiya teddy dekh ladki ne gusse mei wo teddy bear road par phaik diya. ladke ko bahut dukh hua wo use uthane road par gaya, achanak piche se eak car aayi or usne ladke ko takkar maardi. accidient se ladka tadap tadap ke mar gaya, ladki uski maut pe bahut royi. uske antim sanskaar wale din ladki ne us teddy bear ko jor se gale lagaya itne mei uske andar fit mashine se aawaj aayi, I LOVE YOU JAAN, I LOVE YOU Kya tum mujhse shaadi karogi. agar HAA to Anguthi meri pocket mei hai......

eak ladka kisi ladki ko bahut chahta tha lakin usne us ladki ka face dekha nahi tha kyuki wo hamesha burkhe ka parda karke rehti thi wo daily uske liye bus stop par jata or waha khade hokar uska intjaar karta, or jab wo aati to kehta $ Ae pardnashi $ @ rukh se parda hata @ ¤ or is chand se chehre ¤ € ko benakaab kar € Lakin wo ladki koi jawab nahi deti or chali jaati ye silsila kai dino tak chalta raha lakin wo ladki use ignore karke chali jaati, eak raat us ladki k dil mei ladke k liye pyaar jaaga or wo ladke se milne bus stop par gayi, lakin waha use wo ladka nahi mila ladki chali gayi ye kehkar ki kal aaungi. Lakin kai dino tak use wo ladka nahi mila eak subah usne waha khade eak baba se poocha ki baba jo ladka yaha daily aata tha wo kaha gaya to baba ne jawab diya ki beti usne kisi ladki ki khatir apni jaan de di, sunkar ladki pareshan ho gayi or use bahut dukh hua wo rone lagi or agle din wo us ladke ki majaar par gayi waha jakar pyar se eak phool chadaya or kaha ¥ Ae mere gumnaam aashiq ¥ ~ Aayi hu teri majaar par ~ € Le rukh se parda hata diya € # Jee bhar k didar kar # Itna kehte hi kabar se eak aawaj aayi / Ae mere khuda mujhe bata / $ Ye tera kaisa insaaf hai $ @ Aaj ham parde mei hai @ ¥ Or wo benakaab hai ¥ itna suna ki khuda bhi bol pada + Ae mere bande + = Tu bandgi kar dillagi nahi = ~ Dillagi to maut ka farmaam hai ~ / Or use padhne ka haq sirf hasino k naam hai /

Wednesday 5 October 2011

Wo Waqt Bemisal Thaa Jo Tere Saath Guzar Gaya Wo Ashak Aabe Hyaat Thaa Jo Tere Daman Mein Gir Gaya…. Tujhe Bhulne Ki Koshishain Sab Nakaam He Rahi, Tera Chhehra Aankho Ke Raste Dil Main Uttar Gaya…. Jee Raha Hun Bass Tujhe Milne Ki Aas Pe Warna, Khabo Ke Saath Mera Waju Kab Ka Bikhar Gaya…. Diwarain Puchne Lagi Udaasi Ka Sabab Mujhse, Tere Khat Jalake Shaam Ko Jab Main Apne Ghar Gaya…. Tum Kaya Mile Mujhe Zindagi Ke Tanha Safar Main, Mere Maajhi Se Babasta Har Zakham Phir Nikhar Gaya….. Ashko Ka Sailaab Jo Baha To Phir Thaam Na Saka, Apna Afsana-E-Gham Lekar Jab Nadi Ke Paas Sagar Gaya….. ‘hum’ Ko Ghum Nahi Gar Ho Gaya Kafan Bhee janam, Acha Hua Mere Dost Teri Inayaton Ka Karz To Uttar Gaya.

Karta Tha Pyar Tujhko Mujhe Bhool Kyon Gaya Deta Tha Jaan Tujhpe Mujhe Bhool Kyon Gaya Dil Kar Raha Hai Tujhse Phir Se Wahi Sawal Mujhe Tod To Diya Tha Magar Door Kyon Hua Gar Lut Jo Main Gaya Hoon Tere Pyar Ki Khatir Tu Mujhko Chodkar Kahin Abaad Kyon Hua Dil Ne Sambhal Rakha Hai Her Ek Tera Ghum Samjha Hoon Ab Main Khoone Dil Lal Kyon Hua Bahla Ke Bar Bar Main Samjha Raha Tha Dil Ko Hurbar Mere Saath Kyon Yeh Hadsa Hua Dil Toote Hue Aaj Zamane Guzar Gaye Phir Bhi Main De Raha Hoon Tujhe Aaj Kyon Dua Bhool Jayoon Main Use Woh Yeh Mujhse Kahta Hai Hai Bewafa Woh Main To Bewafa Nahi Hua Damal Ki Aakhri Khwahish To Poori Karde Ai Khuda Ki Marne Ke Baad Koi Bhi Vapus Nahi Hua

Tujhse Bichad Ke Bhii Jiye Ja Raha Hoon Main, Jaise Khud Pe Koi Ehsaan Kiye Ja Raha Hoon Main. Tu Naa De Saki Mere Tanha Dil Ko Sukoon, Lo Dil Ke Zakhmo Ko Khud Hii Siye Ja Raha Hoon Main. Kya Hua Jo Teri Kasmo Ne Karai Thi Meri Maykhane Se Dushmani, Apne Ashkon Ko Hi Sharab Samajh Ke Piye Ja Raha Hoon Main. Kabhi Kar Liya Tha Maine Uski Yaadon Se Tauba, Na Jane Kyon Aaj Fir Wahi Gunaah Kiye Ja Raha Hoon Main. Suna Hai Kabhi Lout Ke Aate Nahii Pardesi, Uske Intzaar Mein Khud Ko Hi Dhoke Diye Ja Raha Hoon Main. Ek Din Kahin Seene Mein Thahar Na Jaaye Ye Dil Deewana, Har Roz Ise Ekk Naya Gam Diye Ja Raha Hoon Main. Nibhaenge Kadam Kitne Hum Bhii Dekhte Hain, Us Bewafa Ki Rahon Mein Aaj Dil Ke Tukde Bichae Ja Raha Hoon Main. Khud Fana Ho Kar Bhii ‘Farha’ Tere Liye Dua Karta Hoon Rab Se Jane Kyon Apni Mohabbat Ko Badnaam Kiye Ja Raha Hoon Main

Tu Lagti Pari Hai Tu Lagti Pari Hai Barhi Chlbuli Hai Tu Lagti Pari Hai Phulon Main Reh Tu, Nazuk Barhi Hai Tu Lagti Pari Hai,Tu Lagti Pari Hai Kaanton Sey Daaman Bacha Key Tu Chalna Key Kanton Ki Aadat Zalim Barhi Hai Sotey Huey Kabhi Sapnon Main Aana Key Mujhko Hamesha Yaad Aati Barhi Hai Teri Muskurahat Jo Ghayal Yoon Kardey Key Jaisey Lahu Mein Lipti Churi Hai Tera Aankhon Sey Takna Jaisey Mai Ka Ho Pyala Teri Hur Ada Zalim, Nashey Sey Bhari Hai Koi Gham Bhi Terey Na Paas Aaney Payey Ab To Khuda Sey Dua Yeh Meri Hai Tu Lagti Pari Hai, Tu Lagti Pari Hai

Pyaari Maa Mujh Koo Terii Dua Chahiye Tere Anchal Kii Thandii Hawaa Chahiye Pyari Maa Mujh Koo Terii Dua Chahiye Lorii Gaa Ke Mujh Ko Sulati Hain To Muskura Ke Sawere Jagatii Hain To Mujh Ko Iss Ke Siwa Our Kiya Chahiye. Pyari Maa Mujh Koo Terii Dua Chahiye Tere Anchal Kii Thandii Hawa Chahiye Terii Mumta Kee Saye Main Pholo Phalo Tham Ker Teri Ungli Main Badhti Chalon Aasra Bus Tere Pyaar Ka Chahiye. Pyari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye Tere Anchal Ki Thandi Hawa Chahiye Teri Kidmut Se Duniya Main Azmat Mari Tere Paao(Payer) Ke Niche Hai Janaat Mari Umar Bhar Sar Per Tera Saya Chahiye. Pari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye Teri Anchal Ki Thandi Hawa Chahiye Pari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye.

Apne Jazbaat Ko Alfaaz Na De Paya Main Tere Dil Mein Pyaar Na Laa Paya Main Aage Peechhe Sadaa Chaltaa Raha Tere Kabhi Tere Saath Na Chal Paaya Main Wo Humdardi Thi Teri Jo Dosti Bann Gayi Aur Dosti Ko Mohabbat Ka Khumaar Samajhta Aaya Main Chaha Tha Mujhko Suljhana Inkaar Karke Tumne Lekin Hamesha Tere Saath Ulajhta Aaya Main Bhool Baitha Haqeeqat Aur Auqaat Apni Bass Tujhe Yaad Kartaa Aaya Main Jo Diya Tha Tumne Woh Kam Nahin Tha Phir Bhi Aur Paane Ki Fariyaad Kartaa Aaya Main Paane Ko Sukoon Pal Do Pal Ke Liye Tera Bahut Waqt Barbaad Kartaa Aaya Main Loot Kar Usool Aur Sukoon Tera Khud Ka Jahaan Abaad Kartaa Aaya Main Dil E Nadaan Ne Dooriyaan Nahin Dekhien Aur Chaand Paane Ki Muraad Kartaa Aaya Main

Sunday 2 October 2011

Ahsaaso me sbse khubsurat hote he ankhe ahsaas.vo ahsaas jo kbhi shabdo ka rup nhi le pate unkhe ahsas hote he.jivan me jo ahsaas alfaajo me byaan nhi ho sakte vo ahsaas hi humare jivan ke sabse khubsurat ahsaas he.hum kabhi kisi ko ye nhi samjha paate ki uska hona humre liye kya mayne rakhta he, uska saath hume kya khushi deta he, kyoki hume humesha yhi lagta he ki jitna hum bta paa rhe he samne waala usse jyada khaas aur dil ke kareeb he. Vo ahsaas johumare dil me he use hum sirf mehsus kra sakte he aur sach khu toh jabaapki dhadkan jabkisi ke liye dhadkti he toh samne waala use mehsus krta vha sabh kuch bin khe hi kha hota he.fir vo is baat ko chahe mane ya fir na mane.tab vo najre anjaane me hi dudhti he un do najro ko jounkhe hi use dudhker khaas hone ka ahsaas apni bechani se de jati he.kya ye najre kabhi samjha payegi apni bechani ke is ahsaas ko? Sach khu toh ankhe ahsaas jindagi bher phoulo ki khushbu ki treh bhiter tak smate jate he.shayad en ahsaaso ki khubsurti hi yhi he ki ye unkhe he kyoki ankhe en ahsaaso ko samjhne ke liye hum har roj inhe nayi paribhashaye dete he,johar baar un ahsaaso jitni hi khubsurat hoti he.jaben ankhe ahsaaso ko koi ankhe hi samjhne ka ahsaas bhi de jata he toh hume aur siddat se in ahsaaso ki khubsurti ka ahsaas hota he.log kehte he ki ankhe ahsaas dard de jatehe per mughe lagta he ki kabhi kabhi jabye ankhe ahsaas amkhe rehker bhi samjhe liye jatehe toh ye jindagi me sachi khushiya de jatehe,aisi khushiya jokabhi gujrte waqt ke saath fiki nhi hoti aur aise rishte joher gujrte waqt ke saath aur majboot ho jate hai

nikal kar dekh to bahar aaj maa durga aayi hai mang le,dher sari khushiyon ki saugat layi hai sawali koi bhi dar se na khali haath jayega apne bhakto ki mangi hui har cheez layi hai bhakto ki mangi hui har cheez layi hai

Wednesday 21 September 2011

try to do.

do pal muskurane se photo khubsurat ho sakta hai , to har pal muskurane jindagi khubsurat kyu nahi ho sakti ? email vimalksingh@ovi.com

sayari

Ager Zindagi Mai Judai Na Hoti,
To Kabhi Kisi Ki Yaad Aai Na
Hoti,
Sath Hi Guzarta Her Lamha, To
Shayaed
Rishton Mai Yeh Gehrai Na Hoti.. email vimalksingh@ovi.com

sayari

Kehte h dost banana zndgi h.., Dosti nibhana zindgi h.., Kitne b busy Q na raho din bhar,Magar 1pal k liye dosto ki yaad aana hi zindgi h

bewafai

BaDnam To PyaR Ka AfSana Hua Hai UsKe PyaR MeHi To DiL DiWaNa Hua H! RiShta Tha TaBhi To Us BeDard Ne ToDa ApNa Tha TabHi To BeGaNa Hua H.

E BEHTE AANSU PONCHTI HAI DOSTI, NAAM KI JINDAGI MEIN SACHI ZINDAGI HOTI HAI DOSTI, MEIN KYA HU KYA NAHI MEIN NAHI JANTA JANTA HU, MAGAR MERI KEEMAT PEHCHANTI HAI DOSTI, KAISE KARUN SABDO MEIN BYAAN AAPNE, SAMUNDAR SE GEHRI,JAL SI SHEETAL,PHOOLO SI KOMAL,MAA KI MAMTA JAISI PYARI HAI DOSTI, KUCH CHAHIYE HME AAPSE IS SHAYARI KE BADLE AAP SE, HUME CHAHIYE AAPKI SACHI DOSTI

Monday 19 September 2011

sayari

SAPNA HAMARA KUCH AISA HO,
Khwab hamara kuch aisa Ho,
ZINDAGI ME PYAR MILE N MILE,
Dost mile jo sirf apke jaisa Ho.