Wednesday 28 December 2011

Bitati zindagi

Ek ek kar ke raat aise hi beetati jati hai
nahi mil pa raha rasta yahan se nikal jaane ka
aur zindgi aise hi pareshaniyon meinbeetai jati hai
sote samay hoti hai fikar din ke kamki
Aur din ki roshni raat ke khayal meinbeet jati hai
nahi rehta hai khayal bhi ab apne aap ka
aur duniya fir bhi hamein hi matlabi keh jati hai
sab kuch seh jaate hain duniya ki mehfilon mein
aur akele mein tanhai dil mein ghar kar jati hai
har naye din ka hota tha hamein intezaar
ab toh har nayee subah naya dukh de jati hai
Bahut pyar karte the hum hamari neend se
Par ab toh woh bhi annkho se door chali jati hai
lafjo ka jo mohtaj na ho aisa rishta chate hain
par kismat is khawish ko sun kar khamosh ho jati hai

No comments:

Post a Comment