Tuesday 25 October 2011

Har dhadkan mein ek raaz hota hai, Har baat ko batane ka ek andaz hota hai, Jab tak thokar na lage bewafai ki, Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai. - Jeete hi tera naam lekar, marney ke baad kya anjaam hoga, Kafan Utha ke dekh lena, O bewafa hoothon pe tera naam hoga. Har baat zuban keh pati jo agar, Aankhon ke ishaare kyon hote??? Gar samajhte hamare ishaare tum, Palkon pe yeh aasoon kyon hote?? Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain, Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain, Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain, Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain. itna bhi na rutho jana, ke ye mera dil tut jaye,itna bhi na rutho,ki ye mehfil ruth jaye, hum itne bedard nahi ki apko dard deke , mera dil chup rehjaye Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe, Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye. Daav par hote hain dil o jaan yahaan, Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye. Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si.. Rukte kadam phir aage baR gaye. Na jeet hui, na haari baazi humne.. Kabhi khudse, kabhi kismat se laR gaye. Kismat se apni sabko shikayat kyo hai? Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai? Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein, Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai? Jab bhi tujhse milne ki tadbeer nazar aayi, mujhe apne pairo me padi zanjeer nazar aayi, teri yaad me nikal pade mere aansoo, aur har aansoo me teri tasveer nazar aayi. Mohabbt mujhe thi usi se..Sanam. Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha .. Maut bhi meri Chahat ko rok na saki.. Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha. (From: Vivek Manchanda - Lucknow) khuda kare tere jivan main koi gum naa ho teri ankhen kabhi ansuo se nam naa ho tujhe mile jeevan ki har khusi chahe un khusiyo main samil hum naa ho Suraj se kaho chamakana chod de, sitaro se kaho timtimana chode do, Tum milne nahi aasakte ho to, apni yado se kaho ki yun satana chod de Zamane gujar gaye hathon ko milaye hue, muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, din raat nikal gaye yaadon mein khoye hue, aap kab saamne aaoge yaar muskurate hue dost hai to aansuon ki bhi shaan hoti hai, dost na ho to mehfil bhi samshan hoti hai, sara khel to dosti ka hi hai, warna janaza or barat ek saman hoti hai. Dil todna hamari aadat nahi, Dil hum kisi ka dhkhate nahi, Bharosa rakhna hamari dosti pe, Dost banakar hum kisi ko bhulate nahi.... Haale dil yaar ko likhu kaise, Haat dil se juda nahi hota, Ek muddat se tujhe yaad tak nahi aayi meri aur hum tujhe bhul jaye ye bhi to nahi hota.... Bina aapke ankhon mein nami rahti hai, Hame hamesha aapki kami rahti hai, Dil se aati hai bas ek hi awaj jane kab honge aap hamare pass...... Agar me mar bhi jaoo e dost,tum gum bhi na karna,asoon bhi na bahana,arthi bhi na uthana,bus Seedhe uper chale ana.. PARTY KARENGE - Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye, Mahobbat aap de, toe ush dil ke, thoda karib hum aaye, Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye, Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan, kanhi tham na jaye... Logo ne dharati dekhi, amber dekha, Mausam dekhe aur jivan bhi dekh liya; Humari yeh najre aur kya dekhe, Jisne aapka yeh hasin chehra dekh liya......................... Jabh jindagi sajati hei toe, dulhan si lagati hei, Jabh yeh rang badalti hei toe, ek bewa si lagati hei, Yeh be-raham toe kisi se bhi, vafa nahi karti hei, Phir bhi sabhko yeah, mehbooba si lagti hei... Sheeshe ke dil mei thi tasveer teri bassi, sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki.. Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar, jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti... Jabh aankh mein nami si hoti hei, Dil mein kisiki kami si hoti hei, Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye, Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...! Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon Is kadar hum unki mohabbat mei kho gaye, ki ek najar dekha, aur bus unhi ke hum ho gaye, Aankh khuli to andhera tha, dekha ek sapna tha, Aankh bandh ki aur, unhi sapno mei phir so gaye... Jabh aashman ke sitare, humko dekhte hei, Hum kuch anjani soch mei pad jate hei, Har lamha hum aisa mehsoos karte hei, Ki voh kuch kehte hi, chup ho jate hei.. Mohabbat ko mahobbat ki tarah paa na sake Mohabbat ko ibaadat keh Khudda tujhe maan liya Dil sei dil toe kabhi mill na sakei Tere kadmo mein dil ko kurbaan kar diya Eei Khudda bahot badda hei jahan tera Ish jahan mein he koi nahi bhi mera Kehne ko toe tunei bahot kuch diya Aur kahe toe kuch bhi nahi hei mera! agar terna hai to pani mein aao, kinaron pe kya rakha hai pyar karna hai to bahon mein aao, isharon mein kya rakha hai. zindagi to bewafa hai, ek din thukrayegi, maut hi ek sacchi mehbooba hai , ek din zaroor ayegi dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata, humse tuta hua sisa dekha nahi jata, apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe, aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata Kya kahu tujhe, khwab kahu tou toot jayega, dil kahu tou bikhar jayega aa tera naam zindagi rakh doon maut se pehle tera saath tou na choot payega..!! Din Tere Khayaal Mein Guzar Jaata Hai Raat Ko Bhi Tera Hi Khayaal Aata Hai Kabhi Kabhi Ye Khayaal Is Kadar Badh Jaata Hai Ki Aaine Mein Bhi Tere Chehara Nazar Aata Hai Uski Ankhon Ki Deewani Hoon, Uski Muskaan Ki Mein Shamma Hoon, Har Pal Mujhko Itna Satata Hai, Phir Bhi Dil Aur Jaan Se Mein Uski Ashqi Hoon Lab Pe Hi Rukti Hai Baat Aate Aate Neend To Nahi Aati Sapnay Bohat Hain Aate Hum To Hain Phase Ik Haseen Uljhaan Mein Kaash Woh Aakar Iseh Suljhaate::::::::::: Manzilein bhi us ki thi Rasta bhi us ka tha Ek main akela tha Kafila bhi us ka tha Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai Log to us ke the kia khuda bhi us ka tha Hume tumse Love hai please refuse na karna.. Ye zero watt ka hope bulb hai please ise fuse na karna!!! Chand Se Pyari Chandini, Chandini Se Pyari Raat, Raat Se Pyari Zindagee, Zindagee Se Pyare Aap........ pal pal jeete the jis pal ke liye, aaj wo pal bhi mila to ek pal ke liye, kyun na jiye is pal ko har pal ke liye ham tumhare liye tum hamare liye Aapko Lagta Hai Ke Hume Aapko Bhula Rakha Hai Aap Nahi Jaante Dil Mein Kahi Chupa Rakha Hai Dekh Na Le In Aankhon Me Aapko Koi Isliye Palko Ko Bhi Chupa Rakha Hai:::: Tute hue pemane mein jaam nahi aata dil ke mareej ko aaram nahi aata ay haseeno dil todne se pehle sou baar socho kyonki toota hua dil kisi ke kaam nahi aata Suni zindagi mein halchal si mehsoos hui, bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui, Jane aaj kyu aisa laga, shayad aapki kami mehsoos hui Nazar jhuki to paimane bane, Dil toote to maikhane bane, kuch na kuch to zaroor hai aap mein, yunhi nahi hum aapke dewaane bane!!! Sapno se dil lagane ki adat nahi rahi, har waqt muskurane ki adat nahi rahi. Yeh sochke ki koi manane nehi ayegi, ab humse ruth jane ki adat nahi rahi. Yar ne dil ka haal batana chod diya, Humne bhi gehrai mein jaana chod diya, Jab usko hi doori ka ehsaas nahi, Humne bhi ehsaas dilaana chod diya. Log kehte hai hume adat hai muskurane ki, par wo kya jane ke yeh bhi ek adat hai Gham chupane ki!!! Mast Hariyali, Dubte Suraj ki lali, kuch maja nahi ata, jab pas me na ho tum... Chandi raat me barsat buri lagti hai, ghar me ho lash to Barat buri lagti hai, Khushi me mere dost kuch bhi kah dal, gam me to har bat buri lagti hai. Dard Kaafi hai bekhudi K liye, Maut Zaruri hai Zindagi K liye, Kaun marta hai Kisi K Liye, Hum to Zinda hai sirf aap ki Dosti K liye... Suna he pyar karne wale ajib hote hai, khushi ke badle gam nasib hote hai, mere dost mohabbat naa karna kabhi, kyun ke pyaar karne wale bade badnaseeb hote hai... Pyaar karne walo ki kismat buri hoti hai, har mulakat judai ki ghadi hoti hai, waqt mile to rishte ki kitab padh lena, DOSTI har rishtey se badi hoti hai.. Hichikyon se ek baat ka ehsaas hota hai ki Shayaad koi hume yaad karta hai, milne na aaye to kya hum per kuch lamhe to barbad to karta hai... Har Kadam saath hai, Tu hi mera parichay hai, Tu saans banke mare dhadkan mae rehta hai, Tu dard ban ke mare aansuon mae behta hai. zameen badle, zamana badle, zamane ki hawa badle, Gar main tum se badloon to mujhse mera khuda badle kisine dil ko es kadar chu liya hai,ki hum kisi aur ko chu na sakey,hum to chaley thay dost banane par aap dhadkan ban gaye. chand ko garoor hain, kyonki chandni oska noor hain, hum kis par garoor kare, hamara to chand hee bhout door hain. Woh Dil Hi Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare, Tujhe Bhoolkar Jiyuun Khuda Na Kare, Rahaingi Teri Yaadain Meri Zindagi Bankar, Yeh Aur Baat Hai Ki Zindagi Wafa Na Kare..!! Woh Dil Hi Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare, Tujhe Bhoolkar Jiyuun Khuda Na Kare, Rahaingi Teri Yaadain Meri Zindagi Bankar, Yeh Aur Baat Hai Ki Zindagi Wafa Na Kare..!! nigahe aapki pehchan hain hamari,muskurarat aapki shaan hai hamari,rakhna hifazat se kyunki saasay aapki jaan hai hamari. marne ke baad bhi sata raha hai koi..merikabar se mitti hata raha hai koi.. Aye khuda do pal ki zindagi aur de de..meri kabbar se udaas ja raha hai koi. Aankhon ki zuban woh samajh nahi paate,Honth magar kuch keh nahi paate,Apni bebsi kis tarah kahe,Koi hai jiske bina hum rah nahi paate......... A kash Shayeri hum bhi likh paate,Lafzon ke khel hum bhi khel paate.Khuda ne dil par chot kuch aisi di,Aansuon ko chupaake Kash Hum bhi Muskara Paate............. Yeh mat sochna ki bhul jayenge tumhey,dur rehkar bhi chahenge tumhey.Agar dost banker raas na aye to ajnabi bankar bhi yaad ayenge tumhey...... Raate Gumnam Hoti Hai......... Din Kisike Naam hota hai Hum Jindgi kuch is Tarah Jite hai.....ki hAr LaMhA Sirf DosTO Ke hIIII nAAAAm HotA HaI Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..... - Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Kismat se apni sabko shikayat kyo hai? Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai? Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein, Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai Kafan na dalo mere chehre pe,Mujhe aadat hai muskarane ki, Na dafnao meri laash ko mujhe abhi umeed hai us ke aane ki. Mohabbt mujhe thi usi se..Sanam. Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha .. Maut bhi meri Chahat ko rok na saki.. Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha. tere hothon se lag kar yeh hawa sharab ban gayi aankhon se lag kar yeh hijaab ban gayi aur gaalon se lag kar yeh gulab ban gayi. sach hi kahti hai yeh duniya jaaneman ki mujh se mil kar tu laajawaab ho gayi Jaam Tootne ka bahana na kar ,Hum to teri aankho se pi lenge. Tu mat aa lekin aane ka wada to kar ,Hum tere intezar me hi jee lenge Bagair jane pehchane ikrar na kijiye, Muskura kar dil ko bequarar na kijiye, Phool bhi de jate hai zakhm ghera kabhi kabhi, har phool par yu aetbaar na kijiye.. Tumhari is ada ka kya jawad du, apne dost ko kya uphar du, koi accha sa phool hota to mali se mangvata, jo khud gulab hai usko kya gulab du... Zamane gujar gaye hathon ko milaye hue, muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, din raat nikal gaye yaadon mein khoye hue, aab kab samne aaoge yaar muskurate hue Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete. Dosti se badi koi Jagir nahi hoti, isse acchi koi tasvir nahi hoti. Ek najuk pyar ka dhaga hai, fir bhi isse pakki koi janjeer nahi hoti. phoolon se hasna, jhoolon m jhoolna, doosra dost mile to hume mat bhoolna. Dost ek afsana hai: bhool gaya to sapna hai, aur yaad kiya to apna hai. Jaan hai mujki Jindagi se pyari, jaan ke liye kar du kurban yari, Jan ke liye tod du dosti tumhari, aab tumse kya chupana... Tum hi to ho na jaan hamari... Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya, Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya, Hum Hosh me aane hi waale the, ki Aapne fir se muskura diya. Tanhai Mein Faryad To Kar Sakte Hai, Virane Ko Abaad To Kar Sakte Hai, Kya Hua Aapse Mil Nahi Sakte, Par Aapko Yaad To Kar Sakte Hai. Bina dard ke ansu bahaye nahi jate, Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate, E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye DIL paye bhi nahi jate. Jahan Bhi Rahain ek Hi Baat Hai...Tum Pass Nahin ek Hi Baat Hai..Kabhi Bin Tumhare Roya Karte The..Ab Tum Dhoor Ho ek Hi Baat Hai Main Kaheen Gum Hoon Tum Kaheen Gum Ho Phir Bhi Eysa Lagta Hai Har Jaga Main Hoon Har Jaga Tum Ho... Badi Muddat se chaha hai tujhe, bad Duaon se paya hai tujhe, tujhe bhulane ki socho bhi to kaise, Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe! Har kadam pe imtihan leti hai zindagi, har waqt naye sadme deti hai zindagi, hum zindagi se shikwa kaise kare, aap sa dost bhi to deti hai zindagi! Ae Khuda aapne Chand Pe Etna Guru na Kar, Ek Chand sa Dost hum bhi rakhte hai, Jab Tarif hoti hai Tere Chand ki, Log Misal mere Dost ki Dete hai! Dil me kuch bacha nahi dard ke siwa, aankho me aata nahi koiaansu ke siva, dost tu matsaath chodna mera, zindagi me kuch bacha nahi teri dosti ke siwa. Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai Main Tanha Gunahgar To Nahi Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah Mast Nazron se dekh lenaa tha Agar tamanna thi aazmane ki Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki Chehrey Per Banawat Ka Gussa, Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai, Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai. Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

No comments:

Post a Comment