Sunday 2 October 2011

Ahsaaso me sbse khubsurat hote he ankhe ahsaas.vo ahsaas jo kbhi shabdo ka rup nhi le pate unkhe ahsas hote he.jivan me jo ahsaas alfaajo me byaan nhi ho sakte vo ahsaas hi humare jivan ke sabse khubsurat ahsaas he.hum kabhi kisi ko ye nhi samjha paate ki uska hona humre liye kya mayne rakhta he, uska saath hume kya khushi deta he, kyoki hume humesha yhi lagta he ki jitna hum bta paa rhe he samne waala usse jyada khaas aur dil ke kareeb he. Vo ahsaas johumare dil me he use hum sirf mehsus kra sakte he aur sach khu toh jabaapki dhadkan jabkisi ke liye dhadkti he toh samne waala use mehsus krta vha sabh kuch bin khe hi kha hota he.fir vo is baat ko chahe mane ya fir na mane.tab vo najre anjaane me hi dudhti he un do najro ko jounkhe hi use dudhker khaas hone ka ahsaas apni bechani se de jati he.kya ye najre kabhi samjha payegi apni bechani ke is ahsaas ko? Sach khu toh ankhe ahsaas jindagi bher phoulo ki khushbu ki treh bhiter tak smate jate he.shayad en ahsaaso ki khubsurti hi yhi he ki ye unkhe he kyoki ankhe en ahsaaso ko samjhne ke liye hum har roj inhe nayi paribhashaye dete he,johar baar un ahsaaso jitni hi khubsurat hoti he.jaben ankhe ahsaaso ko koi ankhe hi samjhne ka ahsaas bhi de jata he toh hume aur siddat se in ahsaaso ki khubsurti ka ahsaas hota he.log kehte he ki ankhe ahsaas dard de jatehe per mughe lagta he ki kabhi kabhi jabye ankhe ahsaas amkhe rehker bhi samjhe liye jatehe toh ye jindagi me sachi khushiya de jatehe,aisi khushiya jokabhi gujrte waqt ke saath fiki nhi hoti aur aise rishte joher gujrte waqt ke saath aur majboot ho jate hai

No comments:

Post a Comment